गुल्लक

Kuch raahein mili
Kuch batein mili
Apno ki yaadein mili
Samet kar unko
Ek sikke ki tarah
Mai apni gullak bharata raha

Man ki lalach ko
Aanko ke aanso ko
Kisi ki chahchahat ko
Kisi ki muskurahat ko
Mai apni gullak me bharta raha

 Kuch nadan mila
Unki nadaani mili
Kuch bachpan mila
Unka bachpana mila
Or mai apni gullak bharta raha



 Kuch saath mila
Kuch saathi mile
Jo pal mile
Wo kam mile
Un yadon ko sameta raha
Mai apni gullak bharta raha

 kisi ka na hona
Fir bhi sab ko ginte raha
Un sikko se apni gullak bharta raha


 Thaam ke kuch haatho ko
Mai muddaton ko mehakata raha
Apni un sikko se
Apni gullak bharta raha


Kuch dudhale panno ko saaf kiya
To kuch saaf panno ko dhundhalata raha
Unnyaado ke sikko se
Mai apni gullak bharta raha

Comments

Popular Posts